Tumse milke aisaa lagaa, tumse milke

तुमसे मिलके ऐसा लगा, तुमसे मिलके
Work
Year
Language

तुमसे मिलके ऐसा लगा, तुमसे मिलके
अरमां हुये पुरे दिल के, ऐ मेरी जान-ए-वफ़ा
तेरी मेरी, मेरी तेरी, एक जान है
साथ तेरे रहेंगे सदा, तुमसे ना होंगे जुदा

मेरे सनम, तेरी कसम, छोड़ेंगे अब ना ये हाथ
ये जिन्दगी गुजरेगी अब हमदम तुम्हारे ही साथ
अपना ये वादा रहा, तुमसे ना होंगे जुदा

मैंने किया है रातदिन, बस तेरा ही इंतज़ार
तेरे बिना आता नहीं, एक पल मुझे अब करार
हमदम मेरा मिल गया, हम तुम ना होंगे जुदा
हमदम मेरा मिल गया, अब हम ना होंगे जुदा

tumse milke aisā lagā, tumse milke
armāṅ huye pure dil ke, ai merī jān-e-vafā
terī merī, merī terī, ek jān hai
sāth tere raheṅge sadā, tumse nā hoṅge judā

mere sanam, terī kasam, chhoṛeṅge ab nā ye hāth
ye jindgī gujregī ab hamdam tumhāre hī sāth
apnā ye vādā rahā, tumse nā hoṅge judā

maiṅne kiyā hai rātdin, bas terā hī iṅtazār
tere binā ātā nahīṅ, ek pal mujhe ab karār
hamdam merā mil gayā, ham tum nā hoṅge judā
hamdam merā mil gayā, ab ham nā hoṅge judā