तुमने रख तो ली तस्वीर हमारी ... रंग बदलते हुए
तुमने रख तो ली तस्वीर हमारी
पर ये न हो कि जिस तरह मौसम बदलता है
वैसे ही तुमको भी देखूं रंग बदलते हुए
तुमने रख तो ली …
हमने रख तो ली तस्वीर तुम्हारी
पर यूं भी है कि जिस तरह मौसम बदलता है
तस्वीरों को भी देखा है रंग बदलते हुए
आज तो मिलकर याद रही काश ये कल भी याद रहे
बात तो जब है जान-ए-जहां ध्यान मेरा मेरे बाद रहे
बन तो बैठे हैं तक़दीर हमारी
हमने रख तो ली …
तुम जैसे इन राहों में कितने चले और छूट गए
कितने हसीनों के वादे दिल की तरह टूट गए
काश न टूटे ज़ंजीर हमारी
तुमने रख तो ली …
tumne rakh to lī tasvīr hamārī
par ye na ho ki jis tarah mausam badaltā hai
vaise hī tumko bhī dekhūṅ raṅg badalte hue
tumne rakh to lī …
hamne rakh to lī tasvīr tumhārī
par yūṅ bhī hai ki jis tarah mausam badaltā hai
tasvīroṅ ko bhī dekhā hai raṅg badalte hue
āj to milkar yād rahī kāśh ye kal bhī yād rahe
bāt to jab hai jān-e-jahāṅ dhyān merā mere bād rahe
ban to baiṭhe haiṅ taqdīr hamārī
hamne rakh to lī …
tum jaise in rāhoṅ meṅ kitne chale aur chhūṭ gae
kitne hasīnoṅ ke vāde dil kī tarah ṭūṭ gae
kāśh na ṭūṭe zaṅjīr hamārī
tumne rakh to lī …