तुमने जो कहा मैने वो सुना
तुमने जो कहा मैने वो सुना सुन के मैने जो सपना बुना
देखो उसको तोड़ न देना तन्हा मुझको छोड़ न देना
हर ग़म से बचा लूंगा मैं रखना याद अपना वादा
बाहों में छुपा लूंगा मैं कर लो पक्का इरादा
तुमने जो कहा मैने …
तुमको हर पल चाहूंगी मैं रखना याद अपना वादा
तुम्हारी बन जाऊंगी मैं कर लो पक्का इरादा
तुमने जो कहा मैने …
ज़िंदगी में अगर आए मोड़ कोई हो न जाना कहीं तुम जुदा
रात हो या हो दिन ग़म हो या हो खुशी मैं तुम्हारा रहूंगा सदा
तुम बिन मानेगा ना ये मन रखना याद अपना वादा
टूटेगा ना अब ये बंधन कर लो पक्का इरादा
तुमने जो कहा मैने …
तुमसे मिलने से पहले मैं था बेखबर प्यार क्या है मुहब्बत है क्या
अब तुम्हें ज़िंदगी भर का मैं हमसफ़र मान लूं ये इजाज़त है क्या
जीवन भर तुमको चाहूंगा रखना याद अपना वादा
तुमको ही अपनाऊंगा कर लो पक्का इरादा
तुमने जो कहा मैने …
tumne jo kahā maine vo sunā sun ke maine jo sapnā bunā
dekho usko toṛ na denā tanhā mujhko chhoṛ na denā
har ġham se bachā lūṅgā maiṅ rakhnā yād apnā vādā
bāhoṅ meṅ chhupā lūṅgā maiṅ kar lo pakkā irādā
tumne jo kahā maine …
tumko har pal chāhūṅgī maiṅ rakhnā yād apnā vādā
tumhārī ban jāūṅgī maiṅ kar lo pakkā irādā
tumne jo kahā maine …
ziṅdgī meṅ agar āe moṛ koī ho na jānā kahīṅ tum judā
rāt ho yā ho din ġham ho yā ho khuśhī maiṅ tumhārā rahūṅgā sadā
tum bin mānegā nā ye man rakhnā yād apnā vādā
ṭūṭegā nā ab ye baṅdhan kar lo pakkā irādā
tumne jo kahā maine …
tumse milne se pahle maiṅ thā bekhabar pyār kyā hai muhabbat hai kyā
ab tumheṅ ziṅdgī bhar kā maiṅ hamasafar mān lūṅ ye ijāzat hai kyā
jīvan bhar tumko chāhūṅgā rakhnā yād apnā vādā
tumko hī apnāūṅgā kar lo pakkā irādā
tumne jo kahā maine …