Tumko piyaa dil diyaa kitne naaz se

तुमको पिया दिल दिया कितने नाज़ से
Work
Year
Language

तुमको पिया दिल दिया कितने नाज़ से
नैना लड़ गए भोले-भाले कैसे दगाबाज़ से हो
तुमको पिया दिल दिया …

हाय रे दुहाई तेरी ज़ुल्मी पिया
धड़के अनाड़ी जिया ये क्‌या हुआ
उई मैं मर गई लाज के मारे देखा किस अंदाज़ से हो
तुमको पिया दिल दिया …

लागी नजरिया तोरी जादू भरी
माँगी बहारें हमने बिजली गिरी
दिल के सोए अरमाँ जागे तेरी ही आवाज़ से हो
तुमको पिया दिल दिया …

tumko piyā dil diyā kitne nāz se
nainā laṛ gae bhole-bhāle kaise dagābāz se ho
tumko piyā dil diyā …

hāy re duhāī terī zulmī piyā
dhaṛke anāṛī jiyā ye k‌yā huā
uī maiṅ mar gaī lāj ke māre dekhā kis aṅdāz se ho
tumko piyā dil diyā …

lāgī najriyā torī jādū bharī
māṇgī bahāreṅ hamne bijlī girī
dil ke soe armāṇ jāge terī hī āvāz se ho
tumko piyā dil diyā …