तुम्हें याद करते करते, जाएगी रैन सारी
तुम्हें याद करते करते, जाएगी रैन सारी
तुम ले गये हो अपने संग नींद भी हमारी
मन है के जा बसा है अन्जान एक नगर में
कुछ खोजता है पागल खोई हुई डगर में
इतने बड़े महल में घबराऊँ मैं बेचारी
तुम ले गये हो अपने संग नींद भी हमारी
बिरहा की इस चीता से तुम ही मुझे निकालो
जो तुम ना आ सको तो मुझे स्वप्न में बुला लो
मुझे ऐसे मत जलाओ, मेरी प्रीत है कुंवारी
तुम ले गये हो अपने संग नींद भी हमारी
tumheṅ yād karte karte, jāegī rain sārī
tum le gaye ho apne saṅg nīṅd bhī hamārī
man hai ke jā basā hai anjān ek nagar meṅ
kuchh khojtā hai pāgal khoī huī ḍagar meṅ
itne baṛe mahal meṅ ghabrāūṇ maiṅ bechārī
tum le gaye ho apne saṅg nīṅd bhī hamārī
birhā kī is chītā se tum hī mujhe nikālo
jo tum nā ā sako to mujhe svapn meṅ bulā lo
mujhe aise mat jalāo, merī prīt hai kuṅvārī
tum le gaye ho apne saṅg nīṅd bhī hamārī