Tumhen yaad karte karte jaaegee rain saaree

तुम्हें याद करते करते जाएगी रैन सारी
Work
Year
Language

(तुम्हें याद करते करते जाएगी रैन सारी
तुम ले गये हो अपने संग नींद भी हमारी ) - 2

मन है कि जा बसा है, अंजान इक नगर में
कुछ खोजता है पागल खोई हुई डगर में
इतने बड़े महल में, घबराऊँ मैं बेचारी
तुम ले गये हो अपने संग नींद भी हमारी
तुम्हें याद करते करते

विरहा की इस चिता से तुम ही मुझे निकालो
जो तुम न आ सको तो, मुझे स्वप्न में बुला लो
मुझे ऐसे मत जलाओ, मेरी प्रीत है कुँवारी
तुम ले गये हो अपने संग नींद भी हमारी
तुम्हें याद करते करते

तुम्हें याद करते करते,
तुम्हें याद करते करते.....

(tumheṅ yād karte karte jāegī rain sārī
tum le gaye ho apne saṅg nīṅd bhī hamārī ) - 2

man hai ki jā basā hai, aṅjān ik nagar meṅ
kuchh khojtā hai pāgal khoī huī ḍagar meṅ
itne baṛe mahal meṅ, ghabrāūṇ maiṅ bechārī
tum le gaye ho apne saṅg nīṅd bhī hamārī
tumheṅ yād karte karte

virhā kī is chitā se tum hī mujhe nikālo
jo tum na ā sako to, mujhe svapn meṅ bulā lo
mujhe aise mat jalāo, merī prīt hai kuṇvārī
tum le gaye ho apne saṅg nīṅd bhī hamārī
tumheṅ yād karte karte

tumheṅ yād karte karte,
tumheṅ yād karte karte.....