Tumhen paa ke hamne jahaan paa liyaa hai

तुम्हें पा के हमने जहाँ पा लिया है
Work
Year
Language

आ: तुम्हें पा के हमने जहाँ पा लिया है -2
ज़मीं तो ज़मीं आसमाँ पा लिया है
र: तुम्हें पा के …

आ: मिटा न सकेगी जिसे अब ख़िज़ाँ भी
जला न सकेंगी अब बिजलियाँ भी
मोहब्बत का वो आशियाँ पा लिया है
तुम्हें पा के …

र: ज़माने के ग़म प्यार में ढल गए हैं -2
उम्मीदों के लाखों दिए जल गए हैं -2
के जबसे तुम्हें मेहरबाँ पा लिया है
तुम्हें पा के …

आ: जहाँ से मोहब्बत की राहें मिली हैं
र: वहीं से मेरी गर्दिशें थम गई हैं
दो: न बिछड़ेंगे हम कारवाँ पा लिया है
तुम्हें पा के …

ā: tumheṅ pā ke hamne jahāṇ pā liyā hai -2
zamīṅ to zamīṅ āsmāṇ pā liyā hai
ra: tumheṅ pā ke …

ā: miṭā na sakegī jise ab khizāṇ bhī
jalā na sakeṅgī ab bijliyāṇ bhī
mohabbat kā vo āśhiyāṇ pā liyā hai
tumheṅ pā ke …

ra: zamāne ke ġham pyār meṅ ḍhal gae haiṅ -2
ummīdoṅ ke lākhoṅ die jal gae haiṅ -2
ke jabse tumheṅ meharbāṇ pā liyā hai
tumheṅ pā ke …

ā: jahāṇ se mohabbat kī rāheṅ milī haiṅ
ra: vahīṅ se merī gardiśheṅ tham gaī haiṅ
do: na bichhaṛeṅge ham kārvāṇ pā liyā hai
tumheṅ pā ke …