Tumhen jo bhee dekh legaa, kisee kaa naa ho sakegaa

तुम्हें जो भी देख लेगा, किसी का ना हो सकेगा
Work
Year
Language

तुम्हें जो भी देख लेगा, किसी का ना हो सकेगा
परी हो भला हो क्‌या हो तुम
तुम्हें जो भी देख लेगा …

दुनिया चले उधर ही जिधर ये निगाह घूमे
शबनम को देख लो गर बनकर शराब झूमे
नशा ही नशा हो क्‌या हो तुम
तुम्हें जो भी देख लेगा …

कजरारे नैन भंवरे पलकें जो खोलते हैं
दिलों की भी बात क्‌या है ईमान भी डोलते हैं
भूतों के खुदा हो क्‌या हो तुम
तुम्हें जो भी देख लेगा …

कहाँ ये धमकता चेहरा, कहाँ ऐसा नूर होगा
जिसने बनाया तुमको उसे भी गुरूर होगा
खुदा की अदा हो क्‌या हो तुम
तुम्हें जो भी देख लेगा …

tumheṅ jo bhī dekh legā, kisī kā nā ho sakegā
parī ho bhalā ho k‌yā ho tum
tumheṅ jo bhī dekh legā …

duniyā chale udhar hī jidhar ye nigāh ghūme
śhabnam ko dekh lo gar bankar śharāb jhūme
naśhā hī naśhā ho k‌yā ho tum
tumheṅ jo bhī dekh legā …

kajrāre nain bhaṅvre palkeṅ jo kholte haiṅ
diloṅ kī bhī bāt k‌yā hai īmān bhī ḍolte haiṅ
bhūtoṅ ke khudā ho k‌yā ho tum
tumheṅ jo bhī dekh legā …

kahāṇ ye dhamaktā chehrā, kahāṇ aisā nūr hogā
jisne banāyā tumko use bhī gurūr hogā
khudā kī adā ho k‌yā ho tum
tumheṅ jo bhī dekh legā …