Tumhen chhere havaa chanchal sharaarat tumse seekhee hai

तुम्हें छेड़े हवा चंचल शरारत तुमसे सीखी है
Work
Year
Language

कु: तुम्हें छेड़े हवा चंचल
अ: शरारत तुमसे सीखी है
कु: वो बैठा फूल पे भँवरा
अ: मुहब्बत तुमसे सीखी है
मेरे गुलफ़ाम सुन लो तुम दीवाने दिल का कहना है
कु: किया है फ़ैसला मैने तुम्हारे बिन ना रहना है
तुम्हें छेड़े हवा …

करे दीवानगी मौसम सनम तुम्हारी इन अदाओ से
गज़ब लगती हो तुम रब की कसम
भरोसा हो ना जो मेरा तो पूछो इन फ़िज़ाओं से
तुम्हें छेड़े हवा …

अ: बनाया आशियाँ मैने सनम तुम्हारी ही निगाहों में
ना जाऊं दूर मैं तुमसे कभी
बिता दूँ उम्र मैं सारी सनम तेरी ही बाहों में
कु: तुम्हें छेड़े हवा …

बनी है सुरमई देखो घटा तेरी आँखों के काजल से
चुराती है जवाँ ख़ुश्बू हवा
लिपट के मेरी जान-ए-मन तेरे ही रेशमी आँचल से
तुम्हें छेड़े हवा …

ku: tumheṅ chheṛe havā chaṅchal
a: śharārat tumse sīkhī hai
ku: vo baiṭhā phūl pe bhṇvrā
a: muhabbat tumse sīkhī hai
mere gulafām sun lo tum dīvāne dil kā kahnā hai
ku: kiyā hai faislā maine tumhāre bin nā rahnā hai
tumheṅ chheṛe havā …

kare dīvāngī mausam sanam tumhārī in adāo se
gazab lagtī ho tum rab kī kasam
bharosā ho nā jo merā to pūchho in fizāoṅ se
tumheṅ chheṛe havā …

a: banāyā āśhiyāṇ maine sanam tumhārī hī nigāhoṅ meṅ
nā jāūṅ dūr maiṅ tumse kabhī
bitā dūṇ umr maiṅ sārī sanam terī hī bāhoṅ meṅ
ku: tumheṅ chheṛe havā …

banī hai surmaī dekho ghaṭā terī āṇkhoṅ ke kājal se
churātī hai javāṇ khuśhbū havā
lipaṭ ke merī jān-e-man tere hī reśhmī āṇchal se
tumheṅ chheṛe havā …