Tumheen ne dil ko dil samjhaa naheen hai

तुम्हीं ने दिल को दिल समझा नहीं है
Language

तुम्हीं ने दिल को दिल समझा नहीं है -2
कोई अरमान न हो ऐसा नहीं है

धुआँ देखा किसी ने और न शोला -2
कभी ऐसे कोई जलता नहीं है

हसीन आँचल में हैं कितने सितारे
हैं कितने सितारे
कोई मेरा है इन में या नहीं है

मेरे सीने में अपना दर्द भर दो
तुम अपना दर्द भर दो
अकेले बोझ ये उठता नहीं है

मेरी बाहों से आगे जा रही हो
तुम आगे जा रही हो
मगर आगे कोई दुनिया नहीं है

tumhīṅ ne dil ko dil samjhā nahīṅ hai -2
koī armān na ho aisā nahīṅ hai

dhuāṇ dekhā kisī ne aur na śholā -2
kabhī aise koī jaltā nahīṅ hai

hasīn āṇchal meṅ haiṅ kitne sitāre
haiṅ kitne sitāre
koī merā hai in meṅ yā nahīṅ hai

mere sīne meṅ apnā dard bhar do
tum apnā dard bhar do
akele bojh ye uṭhtā nahīṅ hai

merī bāhoṅ se āge jā rahī ho
tum āge jā rahī ho
magar āge koī duniyā nahīṅ hai