तुम्हारी मस्त नज़र गर इधर नहीं होती
तुम्हारी मस्त नज़र, अगर इधर नहीं होती
नशे में चूर फ़िज़ा इस क़दर नहीं होती
तुम्हीं को देखने की दिल में आरज़ूएं हैं
तुम्हारे आगे ही और ऊँची नज़र नहीं होती
ख़फ़ा न होना अगर बढ़ के थाम लूँ दामन
ये दिल फ़रेब ख़ता जान कर नहीं होती
तुम्हारे आने तलक हम को होश रहता है
फिर उस के बाद हमें कुछ खबर नहीं होती
tumhārī mast nazar, agar idhar nahīṅ hotī
naśhe meṅ chūr fizā is qadar nahīṅ hotī
tumhīṅ ko dekhne kī dil meṅ ārazūeṅ haiṅ
tumhāre āge hī aur ūṇchī nazar nahīṅ hotī
khafā na honā agar baṛh ke thām lūṇ dāman
ye dil fareb khatā jān kar nahīṅ hotī
tumhāre āne talak ham ko hośh rahtā hai
phir us ke bād hameṅ kuchh khabar nahīṅ hotī