Tumhaare bin guzaare hain kaee din

तुम्हारे बिन गुज़ारे हैं कई दिन्
Work
Year
Language

ल: तुम्हारे बिन गुज़ारे हैं कई दिन अब न गुज़रेंगे
जो दिल में आ गई है आज हम वो कर ही गुज़रेंगे
र: ख़बर क्‌या थी के अपने भी सितारे ऐसे बिगड़ेंगे
के जो पूजा के क़ाबिल हैं वही यूँ रंग बदलेंगे

ल: कई दिन बाद फिर ये साज-सिंगार पाया है
नहीं मालूम था के आप यूँ इनकार कर देंगे
तुम्हारे बिन गुज़ारे …

र: तुम्हें कैसे बताएँ क्‌या हमारे साथ गुज़री है
तुम्हारा ख़्वाब टूटेगा अगर यह बात कह देंगे
तुम्हारे बिन गुज़ारे …

ल: तुम्हारी एक न मानेंगे करेंगे आज मनमानी
बहुत तरसाया है तुमने नहीं अब और तरसेंगे
तुम्हारे बिन गुज़ारे …

र: सताया तो नहीं करते कभी क़िस्मत के मारों को
किसी की जान जाएगी किसी के अरमाँ निकलेंगे
तुम्हारे बिन गुज़ारे …

ल: मनाया तुमको कितनी बार लेकिन तुम नहीं माने
तो मजबूर होकर हम शरारत पर भी उतरेंगे
तुम्हारे बिन गुज़ारे …

र: हक़ीक़त क्‌या है ये पहले बता देते तो अच्छा था
ख़ुद अपने जाल से हम न जाने कैसे निकलेंगे
तुम्हारे बिन गुज़ारे …

la: tumhāre bin guzāre haiṅ kaī din ab na guzreṅge
jo dil meṅ ā gaī hai āj ham vo kar hī guzreṅge
ra: khabar k‌yā thī ke apne bhī sitāre aise bigaṛeṅge
ke jo pūjā ke qābil haiṅ vahī yūṇ raṅg badleṅge

la: kaī din bād phir ye sāj-siṅgār pāyā hai
nahīṅ mālūm thā ke āp yūṇ inkār kar deṅge
tumhāre bin guzāre …

ra: tumheṅ kaise batāeṇ k‌yā hamāre sāth guzrī hai
tumhārā khvāb ṭūṭegā agar yah bāt kah deṅge
tumhāre bin guzāre …

la: tumhārī ek na māneṅge kareṅge āj manmānī
bahut tarsāyā hai tumne nahīṅ ab aur tarseṅge
tumhāre bin guzāre …

ra: satāyā to nahīṅ karte kabhī qismat ke māroṅ ko
kisī kī jān jāegī kisī ke armāṇ nikleṅge
tumhāre bin guzāre …

la: manāyā tumko kitnī bār lekin tum nahīṅ māne
to majbūr hokar ham śharārat par bhī utreṅge
tumhāre bin guzāre …

ra: haqīqat k‌yā hai ye pahle batā dete to achchhā thā
khud apne jāl se ham na jāne kaise nikleṅge
tumhāre bin guzāre …