Tum sitam aur karo, tootaa naheen dil ye abhee

तुम सितम और करो, टूटा नहीं दिल ये अभी
Year
Language

तुम सितम और करो, टूटा नहीं दिल ये अभी
हम भी क्या याद करेंगे, तुम्हें चाहा था कभी

ये वो ही होंठ हैं, जो गीत मेरे गाते थे
ये वो गेसू हैं जो मुझपे बिखरे जाते थे
आज क्या हो गया, क्यों हो गये बेगाने सभी

अपने ख्वाबों का जहां मुझ में कभी ढूँढा था
तुम वो ही हो की कभी तुमने मुझे पूजा था
देखते हो हमें ऐसे के ना देखा हो कभी

tum sitam aur karo, ṭūṭā nahīṅ dil ye abhī
ham bhī kyā yād kareṅge, tumheṅ chāhā thā kabhī

ye vo hī hoṅṭh haiṅ, jo gīt mere gāte the
ye vo gesū haiṅ jo mujhpe bikhre jāte the
āj kyā ho gayā, kyoṅ ho gaye begāne sabhī

apne khvāboṅ kā jahāṅ mujh meṅ kabhī ḍhūṇḍhā thā
tum vo hī ho kī kabhī tumne mujhe pūjā thā
dekhte ho hameṅ aise ke nā dekhā ho kabhī