Tum to pyaar ho sajnaa

तुम तो प्यार हो सजना
Work
Year
Language

ल: तुम तो
तुम तो प्यार हो सजना तुम तो प्यार हो
मुझे तुमसे प्यारा और न कोई
तुम तो प्यार हो सजना

र: तुम तो प्यार हो सजनी तुम तो प्यार हो
मुझे तुमसे प्यारा और न कोई
तुम तो प्यार हो

ल: आ कितना है प्यार हमसे ये तो बता दो
र: अंबर पे तारे जितने इतना समझ लो
ल: सच मेरी क़सम
र: तेरी क़सम तेरी याद हमें लूटे
ल: क़समें तो खाने वाले होते हैं झूठे
चलो जाओ हटो जाओ दिल का दामन छोड़ो
र: तुम तो प्यार हो सजनी …

हो ओ आके न जाए कभी ऐसी बहार हो
ल: तुम भी हमारे लिए जीवन सिंगार हो
र: सच मेरी क़सम
ल: तेरी क़सम तू है आँख के तिल में
र: तुम भी छुपी हो मेरे शीशा-ए-दिल में
ओ मेरे हमदम मेरे हमदम मेरी बात तो मानो
ल: तुम तो प्यार हो सजना …

दो: तुम तो प्यार हो

la: tum to
tum to pyār ho sajnā tum to pyār ho
mujhe tumse pyārā aur na koī
tum to pyār ho sajnā

ra: tum to pyār ho sajnī tum to pyār ho
mujhe tumse pyārā aur na koī
tum to pyār ho

la: ā kitnā hai pyār hamse ye to batā do
ra: aṅbar pe tāre jitne itnā samajh lo
la: sach merī qasam
ra: terī qasam terī yād hameṅ lūṭe
la: qasmeṅ to khāne vāle hote haiṅ jhūṭhe
chalo jāo haṭo jāo dil kā dāman chhoṛo
ra: tum to pyār ho sajnī …

ho o āke na jāe kabhī aisī bahār ho
la: tum bhī hamāre lie jīvan siṅgār ho
ra: sach merī qasam
la: terī qasam tū hai āṇkh ke til meṅ
ra: tum bhī chhupī ho mere śhīśhā-e-dil meṅ
o mere hamdam mere hamdam merī bāt to māno
la: tum to pyār ho sajnā …

do: tum to pyār ho