तुम पास आये, यूँ मुस्कुराये ... कुछ कुछ होता है
तुम पास आये, यूँ मुस्कुराये
तुमने न जाने क्या सपने दिखाये
अब तो मेरा दिल, जागे न सोता है
क्या करूँ हाय, कुछ कुछ होता है …
न जाने कैसा एहसास है
बुझती नहीं है क्या प्यास है
क्या नशा इस प्यार का
मुझपे सनम छाने लगा
कोई न जाने क्यों चैन खोता है
क्या करूँ हाय, कुछ कुछ होता है …
क्या रंग लायी मेरी दुआ
ये इश्क़ जाने कैसे हुआ
बेचैनियों में चैन
न जाने क्यों आने लगा
तनहाई में दिल, यादें संजोता है
क्या करूँ हाय, कुछ कुछ होता है …
tum pās āye, yūṇ muskurāye
tumne na jāne kyā sapne dikhāye
ab to merā dil, jāge na sotā hai
kyā karūṇ hāy, kuchh kuchh hotā hai …
na jāne kaisā ehsās hai
bujhtī nahīṅ hai kyā pyās hai
kyā naśhā is pyār kā
mujhpe sanam chhāne lagā
koī na jāne kyoṅ chain khotā hai
kyā karūṇ hāy, kuchh kuchh hotā hai …
kyā raṅg lāyī merī duā
ye iśhq jāne kaise huā
bechainiyoṅ meṅ chain
na jāne kyoṅ āne lagā
tanhāī meṅ dil, yādeṅ saṅjotā hai
kyā karūṇ hāy, kuchh kuchh hotā hai …