तुम ने किसी से कभी प्यार किया है
तुम ने किसी से कभी प्यार किया है ?
प्यार भरा दिल किसी को दिया है ?
प्यार कहाँ अपनी किस्मत में
प्यार का बस दीदार किया है
तुम हो इतने हसीं के तुमपर लाखों मरती होंगी
तुम हो इतने जवाँ, हज़ारों आहें भरती होंगी
किस को कहा तू ने अपना, बन के रहे किस का सपना
सपने तो सपने हैं आख़िर, किसने इन्हे साकार किया है
मैंने देखा हाल दिलों का, देखे दो दिलवाले
एक दूजे के प्यार पे दोनो जान लूटानेवाले
प्यार का सारा जहां दुश्मन, देख सका ना उन का मिलन
औरों की छोड़ो, अपनी सुनाओ, तुम ने कहाँ दिल हार दिया है
tum ne kisī se kabhī pyār kiyā hai ?
pyār bharā dil kisī ko diyā hai ?
pyār kahāṇ apnī kismat meṅ
pyār kā bas dīdār kiyā hai
tum ho itne hasīṅ ke tumpar lākhoṅ martī hoṅgī
tum ho itne javāṇ, hazāroṅ āheṅ bhartī hoṅgī
kis ko kahā tū ne apnā, ban ke rahe kis kā sapnā
sapne to sapne haiṅ ākhir, kisne inhe sākār kiyā hai
maiṅne dekhā hāl diloṅ kā, dekhe do dilvāle
ek dūje ke pyār pe dono jān lūṭānevāle
pyār kā sārā jahāṅ duśhman, dekh sakā nā un kā milan
auroṅ kī chhoṛo, apnī sunāo, tum ne kahāṇ dil hār diyā hai