Tum mere ho bas mere hee mere ho

तुम मेरे हो बस मेरे ही मेरे हो
Work
Year
Language

तुम मेरे हो बस मेरे ही मेरे हो
पूछ लो हवाओं से सुरमई घटाओं से
बारिशों के पानी से पूछो नदिया दीवानी से
तुम मेरे हो बस …

आँखों की गलियों से आ के रूह में तुम बस जाओ
साथ चलें और साथ रुकें साँसों में यूं मिल जाओ
पूछ लो ख्यालों में बादलों की शालों से
ख्वाहिशों से सपनों से पूछो गैरों से या अपनों से
तुम मेरे हो बस …

मैं तुमको महसूस करूँ बन जाओ तुम एहसास
एक दूजे को देख ना पाऊँ आ जाओ इतने पास
पूछ लो बहारों से चम्पई नज़ारों से
खुश्बुओं की वादी से पूछो इस रुत शहज़ादी से
तुम मेरे हो बस …

tum mere ho bas mere hī mere ho
pūchh lo havāoṅ se surmaī ghaṭāoṅ se
bāriśhoṅ ke pānī se pūchho nadiyā dīvānī se
tum mere ho bas …

āṇkhoṅ kī galiyoṅ se ā ke rūh meṅ tum bas jāo
sāth chaleṅ aur sāth rukeṅ sāṇsoṅ meṅ yūṅ mil jāo
pūchh lo khyāloṅ meṅ bādloṅ kī śhāloṅ se
khvāhiśhoṅ se sapnoṅ se pūchho gairoṅ se yā apnoṅ se
tum mere ho bas …

maiṅ tumko mahsūs karūṇ ban jāo tum ehsās
ek dūje ko dekh nā pāūṇ ā jāo itne pās
pūchh lo bahāroṅ se champaī nazāroṅ se
khuśhbuoṅ kī vādī se pūchho is rut śhahazādī se
tum mere ho bas …