तुम लाख छुपाना चाहोगे पर प्यार छुपा ना पाओगे
र: तुम लाख छुपाना चाहोगे पर प्यार छुपा ना पाओगे
कच्चे धागे से बँधे सरकार चले आओगे -2
ल: तुम लाख जताना चाहोगे पर प्यार जता ना पाओगे
दिल को थामे हाथों से ख़ामोश चले आओगे
र: तुम्हारे चेहरे की रंगत तो ये बताती है
किसी की याद तुम्हें हर घड़ी सताती है
यह उलझे-उलझे बाल मुहब्बत का राज़ कहते हैं
कमल से नैन ख़्यालों में डूबे रहते हैं
तुम्हारी चाल में शोख़ी है और शरारत है
ज़रूर तुमको किसी न किसी से उल्फ़त है
लो राज़ खुल गया अब किस लिए छुपाते हो
ज़माना जान गया हमको क्यों बनाते हो
तुम लाख छुपाना …
ल: तुम्हारे होँठों पे हर बात काँप जाएगी
लगी ये दिल की ज़ुबाँ पर कभी न आएगी
बताओ कैसे जताओगे प्यार फिर अपना
न होगा पूरा कभी आरज़ू का ये सपना
तुम्हें यह प्यार की हसरत बहुत सताएगी
कभी रुलाएगी तुमको कभी हँसाएगी
हमारे कूचे में आशिक़ हज़ार आते हैं
मगर जो आते हैं वो होश भूल जाते हैं
तुम लाख छुपाना …
र: हमारे हिज़्र में तुमको न नींद आएगी
अकेला पा के जुदाई तुम्हें सताएगी
हम अपनी आह से पत्थर को मोम करते हैं
हम अपने प्यार से गुलशन में रंग भरते हैं
हमारा जज़्बा-ए-मोहब्बत ये रंग लाएगा
तुम्हारे दर से तुम्हें बढ़ के खींच लाएगा
गुलों की क़ैद में ख़ुश्बू तो रुक नहीं सकती
इसी तरह क़ैद मुहब्बत छुप नहीं सकती
तुम लाख छुपाना …
ra: tum lākh chhupānā chāhoge par pyār chhupā nā pāoge
kachche dhāge se bṇdhe sarkār chale āoge -2
la: tum lākh jatānā chāhoge par pyār jatā nā pāoge
dil ko thāme hāthoṅ se khāmośh chale āoge
ra: tumhāre chehre kī raṅgat to ye batātī hai
kisī kī yād tumheṅ har ghaṛī satātī hai
yah uljhe-uljhe bāl muhabbat kā rāz kahte haiṅ
kamal se nain khyāloṅ meṅ ḍūbe rahte haiṅ
tumhārī chāl meṅ śhokhī hai aur śharārat hai
zarūr tumko kisī na kisī se ulfat hai
lo rāz khul gayā ab kis lie chhupāte ho
zamānā jān gayā hamko kyoṅ banāte ho
tum lākh chhupānā …
la: tumhāre hoṇṭhoṅ pe har bāt kāṇp jāegī
lagī ye dil kī zubāṇ par kabhī na āegī
batāo kaise jatāoge pyār phir apnā
na hogā pūrā kabhī ārazū kā ye sapnā
tumheṅ yah pyār kī hasrat bahut satāegī
kabhī rulāegī tumko kabhī hṇsāegī
hamāre kūche meṅ āśhiq hazār āte haiṅ
magar jo āte haiṅ vo hośh bhūl jāte haiṅ
tum lākh chhupānā …
ra: hamāre hizar meṅ tumko na nīṅd āegī
akelā pā ke judāī tumheṅ satāegī
ham apnī āh se patthar ko mom karte haiṅ
ham apne pyār se gulaśhan meṅ raṅg bharte haiṅ
hamārā jazbā-e-mohabbat ye raṅg lāegā
tumhāre dar se tumheṅ baṛh ke khīṅch lāegā
guloṅ kī qaid meṅ khuśhbū to ruk nahīṅ saktī
isī tarah qaid muhabbat chhup nahīṅ saktī
tum lākh chhupānā …