Tum jug-jug jiyo jahaan men maan ke jaaye

तुम जुग-जुग जियो जहाँ में माँ के जाये
Work
Year
Language

( तुम जुग-जुग जियो जहाँ में माँ के जाये
भगवान उमरिया मेरी तुम्हें लगाये ) -2

आँखों से ओझल हो गये चाँद हमारे -2
नित-नित सपने आयेंगे हमें तिहारे
बिरहन माँ के दिल से निकलेगी हाय

भगवान उमरिया मेरी तुम्हें लगाये
तुम जुग-जुग जियो जहाँ में माँ के जाये
भगवान उमरिया मेरी तुम्हें लगाये

मेरे जनम-जनम के सुख तुमको मिल जायें -2
जित जाओ सब दें तुमको यही दुआएं
ये फूल सदा फूलें कभी न मुरझायें

भगवान उमरिया मेरी तुम्हें लगाये
तुम जुग-जुग जियो जहाँ में माँ के जाये
भगवान उमरिया मेरी तुम्हें लगाये

( tum jug-jug jiyo jahāṇ meṅ māṇ ke jāye
bhagvān umriyā merī tumheṅ lagāye ) -2

āṇkhoṅ se ojhal ho gaye chāṇd hamāre -2
nit-nit sapne āyeṅge hameṅ tihāre
birahan māṇ ke dil se niklegī hāy

bhagvān umriyā merī tumheṅ lagāye
tum jug-jug jiyo jahāṇ meṅ māṇ ke jāye
bhagvān umriyā merī tumheṅ lagāye

mere janam-janam ke sukh tumko mil jāyeṅ -2
jit jāo sab deṅ tumko yahī duāeṅ
ye phūl sadā phūleṅ kabhī na murjhāyeṅ

bhagvān umriyā merī tumheṅ lagāye
tum jug-jug jiyo jahāṇ meṅ māṇ ke jāye
bhagvān umriyā merī tumheṅ lagāye