Tum hamen pyaar karo yaa na karo

तुम हमें प्यार करो या न करो
Year
Language

तुम हमें प्यार करो या न करो
हम तुम्हें प्यार किए जाएँगे
चाहे क़िस्मत में ख़ुशी हो के न हो
ग़म उठाकर ही जिए जाएँगे
तुम हमें प्यार …

हम नहीं वो जो ग़म-ए-इश्क़ से घबरा जाएँ
हो के मायूस ज़ुबाँ पर कोई शिकवा लाएँ
चाहे कितना ही बढ़े दर्द-ए-जिगर
अपने होंठों को सिए जाएँगे
तुम हमें प्यार …

तुम सलामत हो तो हम चैन भी पा ही लेंगे
किसी सूरत से लगी दिल की बुझा ही लेंगे
प्यार का जाम मिले या न मिले
हम तो आँसू भी पिए जाएँगे
तुम हमें प्यार …

तोड़ दी आस तो फिर इतना ही एहसान करो
दिल में रहना जो न चाहो तो नज़र ही में रहो
ठेस लगती जो है दिल पर तो लगे
ग़म उठाकर ही जिए जाएँगे
तुम हमें प्यार …

tum hameṅ pyār karo yā na karo
ham tumheṅ pyār kie jāeṇge
chāhe qismat meṅ khuśhī ho ke na ho
ġham uṭhākar hī jie jāeṇge
tum hameṅ pyār …

ham nahīṅ vo jo ġham-e-iśhq se ghabrā jāeṇ
ho ke māyūs zubāṇ par koī śhikvā lāeṇ
chāhe kitnā hī baṛhe dard-e-jigar
apne hoṅṭhoṅ ko sie jāeṇge
tum hameṅ pyār …

tum salāmat ho to ham chain bhī pā hī leṅge
kisī sūrat se lagī dil kī bujhā hī leṅge
pyār kā jām mile yā na mile
ham to āṇsū bhī pie jāeṇge
tum hameṅ pyār …

toṛ dī ās to phir itnā hī ehsān karo
dil meṅ rahnā jo na chāho to nazar hī meṅ raho
ṭhes lagtī jo hai dil par to lage
ġham uṭhākar hī jie jāeṇge
tum hameṅ pyār …