Tum ek baar muhabbat kaa imthaan to lo

तुम एक बार मुहब्बत का इम्तहान तो लो
Work
Year
Language

तुम एक बार मुहब्बत का इम्तहान तो लो
मेरे जुनूँ मेरी वहशत का इम्तहान तो लो
तुम एक बार …

सलाम-ए-शौक़ पे रंजिश भरा पयाम न दो
मेरे ख़ोलूस को फ़िरास-ओ-हवस का नाम न दो
मेरी वफ़ा की हक़ीकत का इम्तहान तो लो
तुम एक बार …

न तख़्त-ओ-ताज न लाल-ओ-गुहर की हसरत है
तुम्हारे प्यार तुम्हारी नज़र की हसरत है
तुम अपने हुस्न की अज़मत का इम्तिहान तो लो
तुम एक बार …

मैं अपनी जान भी दे दूँ तो ऐतबार नहीं
के तुम से बढ़के मुझे ज़िंदगी से प्यार नहीं
यूँ ही सही मेरी चाहत का इम्तिहान तो लो
तुम एक बार …

tum ek bār muhabbat kā imthān to lo
mere junūṇ merī vahśhat kā imthān to lo
tum ek bār …

salām-e-śhauq pe raṅjiśh bharā payām na do
mere kholūs ko firās-o-havas kā nām na do
merī vafā kī haqīkat kā imthān to lo
tum ek bār …

na takht-o-tāj na lāl-o-guhar kī hasrat hai
tumhāre pyār tumhārī nazar kī hasrat hai
tum apne husn kī azmat kā imtihān to lo
tum ek bār …

maiṅ apnī jān bhī de dūṇ to aitbār nahīṅ
ke tum se baṛhke mujhe ziṅdgī se pyār nahīṅ
yūṇ hī sahī merī chāhat kā imtihān to lo
tum ek bār …