Tum bin sajan barse nayan jab-jab baadal barse

तुम बिन सजन बरसे नयन जब-जब बादल बरसे
Work
Year
Language

ल: तुम बिन सजन बरसे नयन जब-जब बादल बरसे
र: मजबूर हम मजबूर तुम दिल मिलने को तरसे

ल: नागिन सी ये रात अँधेरी बैठी है दिल को घेर के
रूठे जो तुम सब चल दिए मुख फेर के
तुम बिन सजन …

र: ये दिल तेरे प्यार की ख़ातिर जग से बेगाना हो गया
एक ख़्वाब था सब लुट गया सब खो गया
ल: तुम बिन सजन …

ल: प्यासे-प्यासे नैन हमारे रो-रो के हारे सजना
आठों पहर बरसे गगन इस अँगना
तुम बिन सजन …

la: tum bin sajan barse nayan jab-jab bādal barse
ra: majbūr ham majbūr tum dil milne ko tarse

la: nāgin sī ye rāt aṇdherī baiṭhī hai dil ko gher ke
rūṭhe jo tum sab chal die mukh pher ke
tum bin sajan …

ra: ye dil tere pyār kī khātir jag se begānā ho gayā
ek khvāb thā sab luṭ gayā sab kho gayā
la: tum bin sajan …

la: pyāse-pyāse nain hamāre ro-ro ke hāre sajnā
āṭhoṅ pahar barse gagan is aṇgnā
tum bin sajan …