तुम बिन जाऊँ कहाँ, के दुनिया में आके
तुम बिन जाऊँ कहाँ, के दुनिया में आके
कुछ न फिर चाहा कभी तुमको चाहके, तुम बिन …
देखो मुझे सर से कदम तक, सिर्फ़ प्यार हूँ मैं
गले से लगालो के तुम्हारा बेक़रार हूँ मैं
तुम क्या जानो के भटकता फिरा
मैं किस गली, तुमको चाह के …
अब है सनम हर मौसम, प्यार के काबिल
पड़ी जहाँ छाओं हमारी, सज गयी महफ़िल
महफ़िल क्या तनहाई में भी
लगता है जी, तुमको चाह के …
Kishore version:
तुम बिन जाऊँ कहाँ, के दुनिया में आके
कुछ न फिर चाहा कभी, तुमको चाहके, तुम बिन …
रह भी सकोगे तुम कैसे, हो के मुझसे जुदा
ढह जाएंगी दीवारें, सुन के मेरी सदा
आना ही होगा तुम्हें मेरे लिये
साथी मेरे, सूनी राह के …
कितनी अकेली सी पहले, थी यही दुनिया
तुमने नज़र जो मिला ली, बस गई दुनिया
दिल को मिली जो तुम्हारी लगन
दिये जल गए, मेरी आह से …
देखो मेरे ग़म की कहानी, किसीसे मत कहना
कहीं मेरी बात चले तो, सुनके चुप रहना
मेरा क्या है कट जाएगी कहीं
ये ज़िंदगी, तुमको चाह के …
tum bin jāūṇ kahāṇ, ke duniyā meṅ āke
kuchh na phir chāhā kabhī tumko chāhke, tum bin …
dekho mujhe sar se kadam tak, sirf pyār hūṇ maiṅ
gale se lagālo ke tumhārā beqrār hūṇ maiṅ
tum kyā jāno ke bhaṭaktā phirā
maiṅ kis galī, tumko chāh ke …
ab hai sanam har mausam, pyār ke kābil
paṛī jahāṇ chhāoṅ hamārī, saj gayī mahafil
mahafil kyā tanhāī meṅ bhī
lagtā hai jī, tumko chāh ke …
Kishore version:
tum bin jāūṇ kahāṇ, ke duniyā meṅ āke
kuchh na phir chāhā kabhī, tumko chāhke, tum bin …
rah bhī sakoge tum kaise, ho ke mujhse judā
ḍhah jāeṅgī dīvāreṅ, sun ke merī sadā
ānā hī hogā tumheṅ mere liye
sāthī mere, sūnī rāh ke …
kitnī akelī sī pahle, thī yahī duniyā
tumne nazar jo milā lī, bas gaī duniyā
dil ko milī jo tumhārī lagan
diye jal gae, merī āh se …
dekho mere ġham kī kahānī, kisīse mat kahnā
kahīṅ merī bāt chale to, sunke chup rahnā
merā kyā hai kaṭ jāegī kahīṅ
ye ziṅdgī, tumko chāh ke …