Tum bhee chalo, ham bhee chalen, chaltee rahe zindgee

तुम भी चलो, हम भी चलें, चलती रहे ज़िन्दगी
Work
Year
Language

तुम भी चलो, हम भी चलें, चलती रहे ज़िन्दगी - 2
ना ज़मीं मंज़िल, ना आसमां, ज़िन्दगी है ज़िन्दगी
तुम भी चलो, हम भी चलें, चलती रहे ज़िन्दगी

पीछे देखें ना, कभी मुड़ के राहों में, हो
झूमे मेरा दिल, तुम्हें लेके बाहों में, हो
धड़कनों की ज़ुबां, नित काहे दास्तां
प्यार की झिल-मिल छाओं में, पलती रहे ज़िन्दगी
तुम भी चलो, हम भी चलें, चलती रहे ज़िन्दगी

बहते चले हम, मस्ती के धारों में, हो
गूंजे यही धुन, सदा दिल के तारों में, हो
अब रुके ना कहीं, प्यार का कारवां
नित नई रुत के रंग में, ढलती रहे ज़िन्दगी
तुम भी चलो, हम भी चलें, चलती रहे ज़िन्दगी
ना ज़मीं मंज़िल, ना आसमां, ज़िन्दगी है ज़िन्दगी
तुम भी चलो, हम भी चलें, चलती रहे ज़िन्दगी

अब यहाँ कोई नहीं, कोई नहीं आयेगा

tum bhī chalo, ham bhī chaleṅ, chaltī rahe zindgī - 2
nā zamīṅ maṅzil, nā āsmāṅ, zindgī hai zindgī
tum bhī chalo, ham bhī chaleṅ, chaltī rahe zindgī

pīchhe dekheṅ nā, kabhī muṛ ke rāhoṅ meṅ, ho
jhūme merā dil, tumheṅ leke bāhoṅ meṅ, ho
dhaṛaknoṅ kī zubāṅ, nit kāhe dāstāṅ
pyār kī jhil-mil chhāoṅ meṅ, paltī rahe zindgī
tum bhī chalo, ham bhī chaleṅ, chaltī rahe zindgī

bahte chale ham, mastī ke dhāroṅ meṅ, ho
gūṅje yahī dhun, sadā dil ke tāroṅ meṅ, ho
ab ruke nā kahīṅ, pyār kā kārvāṅ
nit naī rut ke raṅg meṅ, ḍhaltī rahe zindgī
tum bhī chalo, ham bhī chaleṅ, chaltī rahe zindgī
nā zamīṅ maṅzil, nā āsmāṅ, zindgī hai zindgī
tum bhī chalo, ham bhī chaleṅ, chaltī rahe zindgī

ab yahāṇ koī nahīṅ, koī nahīṅ āyegā