तलत: तुम अपनी याद भी दिल से भुला जाते तो अच्छा था
लता: ये दो आँसू लगी दिल की बुझा जाते तो अच्छा था
तलत: मेरे अरमाँ भी ले जाते मेरी हसरत भी ले जाते -2
नज़र से चीन कर अपनी हसीं सूरत भी ले जाते
अंधेरे और इन आँखों में छा जाते तो अच्छा था
तुम अपनी याद भी …
लता: मेरे दिल की मुहब्बत का यक़ीं कब तुम को आया था -2
जहाँ सौ ज़ुल्म ढाये थे जहाँ दिल को मिटाया था
मुझे भी अपने हाथों से मिटा जाते तो अच्छा था
ये दो आँसू लगी दिल की …
तलत: मेरा दिल फेर दे मेरी निशानी फेरने वाले -2
लता: जो मुमकिन हो तो लौटा दो मेरी आहें मेरे नाले -2
हम अपने दिल का खोया चैन पा जाते तो अच्छा था
ये दो आँसू लगी दिल की …
talat: tum apnī yād bhī dil se bhulā jāte to achchhā thā
latā: ye do āṇsū lagī dil kī bujhā jāte to achchhā thā
talat: mere armāṇ bhī le jāte merī hasrat bhī le jāte -2
nazar se chīn kar apnī hasīṅ sūrat bhī le jāte
aṅdhere aur in āṇkhoṅ meṅ chhā jāte to achchhā thā
tum apnī yād bhī …
latā: mere dil kī muhabbat kā yaqīṅ kab tum ko āyā thā -2
jahāṇ sau zulm ḍhāye the jahāṇ dil ko miṭāyā thā
mujhe bhī apne hāthoṅ se miṭā jāte to achchhā thā
ye do āṇsū lagī dil kī …
talat: merā dil pher de merī niśhānī pherne vāle -2
latā: jo mumkin ho to lauṭā do merī āheṅ mere nāle -2
ham apne dil kā khoyā chain pā jāte to achchhā thā
ye do āṇsū lagī dil kī …