Tum agar ye mujhse poochho main kaun hoon

तुम अगर ये मुझसे पूछो मैं कौन हूँ
Work
Year
Language

तुम अगर ये मुझसे पूछो हे
तुम अगर ये मुझसे पूछो मैं कौन हूँ क्‌या करता हूँ
मैं तुमसे कहूं प्रेमी हूँ इक लड़की पर मरता हूँ
तुम अगर कहो फिर मुझसे मैं ठोकर खा जाऊंगा
मैं शर्त लगा लूं तुमसे उस लड़की को पाऊंगा
तुम अगर ये मुझसे …

तुम अगर मुझे समझाओ है प्यार में बदनामी भी
पहले तो इसमें ग़म है बाद में नाकामी भी
मैं तुमसे कहूं आहों से पत्थर भी पिघल जाते हैं
आकाश में हैं जो तारे धरती पे उतर आते हैं
तुम अगर मुझे समझाओ मैं राह में खो जाऊंगा
मैं शर्त लगा लूं तुमसे अपनी मंज़िल पाऊंगा
तुम अगर मुझे समझाओ …

तुम अगर मुझे समझाओ मैं सपनों में रहता हूँ
इक यूं ही सी लड़की है मैं जिसको परी कहता हूँ
मैं तुमसे कहूं तुम उसको मेरी आँखों से देखो
तो मेरी तरह फिर तुम भी उसको चाहो और पूजो
तुम अगर मुझे समझाओ मैं पागल हो जाऊंगा
मैं शर्त लगा लूं फिर भी मजनू ही कहलाऊंगा
तुम अगर ये मुझसे …

tum agar ye mujhse pūchho he
tum agar ye mujhse pūchho maiṅ kaun hūṇ k‌yā kartā hūṇ
maiṅ tumse kahūṅ premī hūṇ ik laṛkī par martā hūṇ
tum agar kaho phir mujhse maiṅ ṭhokar khā jāūṅgā
maiṅ śhart lagā lūṅ tumse us laṛkī ko pāūṅgā
tum agar ye mujhse …

tum agar mujhe samjhāo hai pyār meṅ badnāmī bhī
pahle to ismeṅ ġham hai bād meṅ nākāmī bhī
maiṅ tumse kahūṅ āhoṅ se patthar bhī pighal jāte haiṅ
ākāśh meṅ haiṅ jo tāre dhartī pe utar āte haiṅ
tum agar mujhe samjhāo maiṅ rāh meṅ kho jāūṅgā
maiṅ śhart lagā lūṅ tumse apnī maṅzil pāūṅgā
tum agar mujhe samjhāo …

tum agar mujhe samjhāo maiṅ sapnoṅ meṅ rahtā hūṇ
ik yūṅ hī sī laṛkī hai maiṅ jisko parī kahtā hūṇ
maiṅ tumse kahūṅ tum usko merī āṇkhoṅ se dekho
to merī tarah phir tum bhī usko chāho aur pūjo
tum agar mujhe samjhāo maiṅ pāgal ho jāūṅgā
maiṅ śhart lagā lūṅ phir bhī majnū hī kahlāūṅgā
tum agar ye mujhse …