तुम अगर मुझको न चाहो तो कोई बात नहीं
तुम अगर मुझको न चाहो तो कोई बात नहीं
तुम किसी और को चाहोगी तो मुश्किल होगी
अब अगर मेल नहीं है तो जुदाई भी नहीं
बात तोड़ी भी नहीं तुमने निभाई भी नहीं
ये सहारा भी बहुत है मेरे जीने के लिये
तुम अगर मेरी नहीं हो तो पराई भी नहीं
मेरे दिल को न सराहो तो कोई बात नहीं
गैर के दिल को सराहोगी, तो मुश्किल्…
तुम हसीं हो, तुम्हें सब प्यार ही करते होंगे
मैं तो मरता हूँ तो क्या और भी मरते होंगे
सब की आँखों में इसी शौक़ का तूफ़ां होगा
सब के सीने में यही दर्द उभरते होंगे
मेरे ग़म में न कराहो तो कोई बात नहीं
और के ग़म में कराहोगी तो मुश्किल्…
फूल की तरह हँसो, सब की निगाहों में रहो
अपनी मासूम जवानी की पनाहों में रहो
मुझको वो दिन न दिखाना तुम्हें अपनी ही क़सम
मैं तरसता रहूँ तुम गैर की बाहों में रहो
तुम अगर मुझसे न निभाओ तो कोई बात नहीं
किसी दुश्मन से निभाओगी तो मुश्किल्…
tum agar mujhko na chāho to koī bāt nahīṅ
tum kisī aur ko chāhogī to muśhkil hogī
ab agar mel nahīṅ hai to judāī bhī nahīṅ
bāt toṛī bhī nahīṅ tumne nibhāī bhī nahīṅ
ye sahārā bhī bahut hai mere jīne ke liye
tum agar merī nahīṅ ho to parāī bhī nahīṅ
mere dil ko na sarāho to koī bāt nahīṅ
gair ke dil ko sarāhogī, to muśhkil…
tum hasīṅ ho, tumheṅ sab pyār hī karte hoṅge
maiṅ to martā hūṇ to kyā aur bhī marte hoṅge
sab kī āṇkhoṅ meṅ isī śhauq kā tūfāṅ hogā
sab ke sīne meṅ yahī dard ubharte hoṅge
mere ġham meṅ na karāho to koī bāt nahīṅ
aur ke ġham meṅ karāhogī to muśhkil…
phūl kī tarah hṇso, sab kī nigāhoṅ meṅ raho
apnī māsūm javānī kī panāhoṅ meṅ raho
mujhko vo din na dikhānā tumheṅ apnī hī qasam
maiṅ tarastā rahūṇ tum gair kī bāhoṅ meṅ raho
tum agar mujhse na nibhāo to koī bāt nahīṅ
kisī duśhman se nibhāogī to muśhkil…