Tum aaye jo aaj mujhe yaad, galee men aaj chaand niklaa

तुम आये जो आज मुझे याद, गली में आज चाँद निकला
Work
Year
Language

तुम आये जो आज मुझे याद गली में आज चाँद निकला
जाने कितने दिनों के बाद गली में आज चाँद निकला

ये नैना बिन काजल तरसे बरह महीने बादल बरसे
सुनी रब ने मेरी फ़रियाद गली में आज चाँद निकला …

आज की रात जो मैं सो जती खुलती आँख सुबह हो जाती
मैं तो हो जाती बस बरबाद गली में आज चाँद निकला …

मैं ने तुमको आते देखा अपनी जान को जाते देखा
जाने फिर क्‌या हुआ नहीं याद गली में आज चाँद निकला …

tum āye jo āj mujhe yād galī meṅ āj chāṇd niklā
jāne kitne dinoṅ ke bād galī meṅ āj chāṇd niklā

ye nainā bin kājal tarse barah mahīne bādal barse
sunī rab ne merī fariyād galī meṅ āj chāṇd niklā …

āj kī rāt jo maiṅ so jatī khultī āṇkh subah ho jātī
maiṅ to ho jātī bas barbād galī meṅ āj chāṇd niklā …

maiṅ ne tumko āte dekhā apnī jān ko jāte dekhā
jāne phir k‌yā huā nahīṅ yād galī meṅ āj chāṇd niklā …