Tujhse poochhoon ek savaal ... k‌yaa meree tarah too bhee taraptaa hai

तुझसे पूछूं एक सवाल ... क्‌या मेरी तरह तू भी तड़पता है
Year
Language

तुझसे पूछूं एक सवाल
बोल ज़रा क्‌या है तेरा हाल
क्‌या मेरी तरह तू भी तड़पता है

अब है नींद किसे अब है चैन कहां
होश उड़ाए तेरा शबाब
मेरे सवाल का दे तू जवाब
क्‌या तेरा दिल भी ऐसे धड़कता है
अब है नींद किसे …

निंदिया चुरा के ले गई बिंदिया दीवानी
जिया चुरा के ले गए कुंवारे कंगना
डोली में बिठा के तुझे चुनरी उढ़ा के
मैं तो ले आऊंगा मेरे अंगना
प्यार का फूल दिल में महकता है
अब है नींद किसे …

सारी सारी रैना तेरी याद सताए
बरसात सताए सजना
काटे न कटें ये दिन अब तेरे बिन
मुलाक़ात सताए सजना
पास आके भी तू दूर रहता है
अब है नींद किसे …

tujhse pūchhūṅ ek savāl
bol zarā k‌yā hai terā hāl
k‌yā merī tarah tū bhī taṛaptā hai

ab hai nīṅd kise ab hai chain kahāṅ
hośh uṛāe terā śhabāb
mere savāl kā de tū javāb
k‌yā terā dil bhī aise dhaṛaktā hai
ab hai nīṅd kise …

niṅdiyā churā ke le gaī biṅdiyā dīvānī
jiyā churā ke le gae kuṅvāre kaṅgnā
ḍolī meṅ biṭhā ke tujhe chunrī uṛhā ke
maiṅ to le āūṅgā mere aṅgnā
pyār kā phūl dil meṅ mahaktā hai
ab hai nīṅd kise …

sārī sārī rainā terī yād satāe
barsāt satāe sajnā
kāṭe na kaṭeṅ ye din ab tere bin
mulāqāt satāe sajnā
pās āke bhī tū dūr rahtā hai
ab hai nīṅd kise …