Tujhse naaraaz naheen zindgee, hairaan hoon main

तुझसे नाराज़ नहीं ज़िन्दगी, हैरान हूँ मैं
Work
Year
Language

तुझसे नाराज़ नहीं ज़िन्दगी, हैरान हूँ मैं
ओ हैरान हूँ मैं
तेरे मासूम सवालों से परेशान हूँ मैं
ओ परेशान हूँ मैं

जीने के लिये सोचा ही न था, दर्द सम्भालने होंगे
मुस्कुराऊँ तो, मुस्कुराने के कर्ज़ उठाने होंगे
मुस्कुराऊँ कभी तो लगता है
जैसे होंठों पे कर्ज़ रखा है
तुझसे …

आज अगर भर आई हैं, बूँदें बरस जायेंगी
कल क्‌या पता इनके लिये आँखें तरस जायेंगी
जाने कहाँ गुम कहाँ खोया
एक आँसू छुपाके रखा था
तुझसे …

ज़िन्दगी तेरे ग़म ने हमें रिश्ते नये समझाये
मिले जो हमें धूप में मिले छाँव के ठंडे साये
(music for these lines!)
ओ तुझसे …

tujhse nārāz nahīṅ zindgī, hairān hūṇ maiṅ
o hairān hūṇ maiṅ
tere māsūm savāloṅ se pareśhān hūṇ maiṅ
o pareśhān hūṇ maiṅ

jīne ke liye sochā hī na thā, dard sambhālne hoṅge
muskurāūṇ to, muskurāne ke karz uṭhāne hoṅge
muskurāūṇ kabhī to lagtā hai
jaise hoṅṭhoṅ pe karz rakhā hai
tujhse …

āj agar bhar āī haiṅ, būṇdeṅ baras jāyeṅgī
kal k‌yā patā inke liye āṇkheṅ taras jāyeṅgī
jāne kahāṇ gum kahāṇ khoyā
ek āṇsū chhupāke rakhā thā
tujhse …

zindgī tere ġham ne hameṅ riśhte naye samjhāye
mile jo hameṅ dhūp meṅ mile chhāṇv ke ṭhaṅḍe sāye
(music for these lines!)
o tujhse …