Tujhse hamaaraa vaadaa hai hamdam ... jiyenge marenge tumhaare lie ham

तुझसे हमारा वादा है हमदम ... जियेंगे मरेंगे तुम्हारे लिए हम्
Year
Language

तुझसे हमारा वादा है हमदम
जियेंगे मरेंगे तुम्हारे लिए हम
बदलेगी दुनिया बदलेगा आलम
जियेंगे मरेंगे …

पल में लगे जो सदियों पुराना
ये कैसा है नाता किसी ने न जाना
नये फूल कैसे खिलाता है मौसम
मोहब्बत ने हमको मिलाया है जानम
तुझसे हमारा वादा …

पलकें झुकीं और नज़रें हैं सोई
ना मुद्दत से मुझसे मिला और कोई
खुशियां मिलें या हमको मिलें ग़म
प्यार हमारा ना होगा कभी कम
तुझसे हमारा वादा …

tujhse hamārā vādā hai hamdam
jiyeṅge mareṅge tumhāre lie ham
badlegī duniyā badlegā ālam
jiyeṅge mareṅge …

pal meṅ lage jo sadiyoṅ purānā
ye kaisā hai nātā kisī ne na jānā
naye phūl kaise khilātā hai mausam
mohabbat ne hamko milāyā hai jānam
tujhse hamārā vādā …

palkeṅ jhukīṅ aur nazreṅ haiṅ soī
nā muddat se mujhse milā aur koī
khuśhiyāṅ mileṅ yā hamko mileṅ ġham
pyār hamārā nā hogā kabhī kam
tujhse hamārā vādā …