Tujhe kasam hai ruknaa naheen ... aao mil ke aagaaz karen

तुझे कसम है रुकना नहीं ... आओ मिल के आगाज़ करें
Work
Year
Language

तुझे कसम है रुकना नहीं
किसी के आगे झुकना नहीं
जो कल करना है आज करें
ये जंग अगर लड़नी है तो आओ मिल के आगाज़ करें
आगाज़ करें आगाज़ करें आओ मिल के आगाज़ करें
आगाज़

खामोश ज़ुबां बोझल आँखें
मुश्किल में जां सहमी साँसें
सारे चेहरे हैं डरे डरे
ज़िंदा हैं लेकिन मरे मरे
ऐसे गहरे सन्नाटे में
ऊँची अपनी आवाज़ करें
वो कौन है जो आगाज़ करे
आओ मिल के आगाज़ …

जो भीड़ में तन्हा चलता है
सबसे आगे वो निकलता है
जो कड़ी धूप में जलता है
वो ठंडी छाँव में पलता है
जो होता सच्चा अभिमानी
वो देता है हर क़ुरबानी
ये दुनिया उस पे नाज़ करे
जो बढ़कर आगे आगाज़ करे
आओ मिल के आगाज़ …

एक अकेली मौज समंदर से कैसे टकराएगी
चट्टानों से टकरा के आँधी वापस आ जाएगी
हम मिल के साथ चलेंगे तो सैलाब नया इक लाएंगे
इस आसमां को झुकाएंगे
इक साथ चलो परवाज़ करें
आओ मिल के आगाज़ …

tujhe kasam hai ruknā nahīṅ
kisī ke āge jhuknā nahīṅ
jo kal karnā hai āj kareṅ
ye jaṅg agar laṛnī hai to āo mil ke āgāz kareṅ
āgāz kareṅ āgāz kareṅ āo mil ke āgāz kareṅ
āgāz

khāmośh zubāṅ bojhal āṇkheṅ
muśhkil meṅ jāṅ sahmī sāṇseṅ
sāre chehre haiṅ ḍare ḍare
ziṅdā haiṅ lekin mare mare
aise gahre sannāṭe meṅ
ūṇchī apnī āvāz kareṅ
vo kaun hai jo āgāz kare
āo mil ke āgāz …

jo bhīṛ meṅ tanhā chaltā hai
sabse āge vo nikaltā hai
jo kaṛī dhūp meṅ jaltā hai
vo ṭhaṅḍī chhāṇv meṅ paltā hai
jo hotā sachchā abhimānī
vo detā hai har qurbānī
ye duniyā us pe nāz kare
jo baṛhkar āge āgāz kare
āo mil ke āgāz …

ek akelī mauj samaṅdar se kaise ṭakrāegī
chaṭṭānoṅ se ṭakrā ke āṇdhī vāpas ā jāegī
ham mil ke sāth chaleṅge to sailāb nayā ik lāeṅge
is āsmāṅ ko jhukāeṅge
ik sāth chalo parvāz kareṅ
āo mil ke āgāz …