Tujhe dekhaa to ... mere sone rab ne kinnee sonee cheez banaaee hai

तुझे देखा तो ... मेरे सोणे रब ने किन्नी सोणी चीज़ बनाई है
Year
Language

होय होय
कुड़िये
ओय मुंडेया
तुझे देखा तो बस मुझे ऐसा लगता है
जैसे मेरे सपनों से अभी अभी तू निकल के इस दुनिया में आई है
मेरे सोणे रब ने किन्नी सोणी चीज़ बनाई है

तुझे देखा तो बस मुझे ऐसा लगता है
जैसे मेरे सपनों से अभी अभी तू निकल के इस दुनिया में आया है
मेरे सोणे रब ने तुझे मेरे लिए बनाया है
तुझे देखा तो …

हाय जादू है कोई तेरी आँखों में
दिल आ रहा है तेरी बातों में
तेरी बिंदिया के लश्कारे
जैसे दिन में निकले तारे
मेरी मेहंदी के रंग सारे
अब तो हैं नाम तुम्हारे
तुझे देखा तो बस मुझे ऐसा लगता है
मेरे नैनों की इस डोली में अभी अभी तू बैठ के आई है
मेरे सोणे रब ने …

कुड़िये
ओय मुंडेया
आ ओय
होय देखा न तुमसा कोई पहले कभी
जो भी है दिल में हमसे कह दो अभी
कहना सुनना क्‌या गोरी
बस बाँध ले प्रीत की डोरी
जब हम राज़ी तुम राज़ी
क्‌यूँ प्यार हो चोरी चोरी
तुझे देखा तो बस मुझे ऐसा लगता है
जैसे जन्नत की हर एक खुश्बू तेरे अंग अंग में समाई है
मेरे सोणे रब ने …

hoy hoy
kuṛiye
oy muṅḍeyā
tujhe dekhā to bas mujhe aisā lagtā hai
jaise mere sapnoṅ se abhī abhī tū nikal ke is duniyā meṅ āī hai
mere soṇe rab ne kinnī soṇī chīz banāī hai

tujhe dekhā to bas mujhe aisā lagtā hai
jaise mere sapnoṅ se abhī abhī tū nikal ke is duniyā meṅ āyā hai
mere soṇe rab ne tujhe mere lie banāyā hai
tujhe dekhā to …

hāy jādū hai koī terī āṇkhoṅ meṅ
dil ā rahā hai terī bātoṅ meṅ
terī biṅdiyā ke laśhkāre
jaise din meṅ nikle tāre
merī mehaṅdī ke raṅg sāre
ab to haiṅ nām tumhāre
tujhe dekhā to bas mujhe aisā lagtā hai
mere nainoṅ kī is ḍolī meṅ abhī abhī tū baiṭh ke āī hai
mere soṇe rab ne …

kuṛiye
oy muṅḍeyā
ā oy
hoy dekhā na tumsā koī pahle kabhī
jo bhī hai dil meṅ hamse kah do abhī
kahnā sunnā k‌yā gorī
bas bāṇdh le prīt kī ḍorī
jab ham rāzī tum rāzī
k‌yūṇ pyār ho chorī chorī
tujhe dekhā to bas mujhe aisā lagtā hai
jaise jannat kī har ek khuśhbū tere aṅg aṅg meṅ samāī hai
mere soṇe rab ne …