तुझे भूल के माटी ... ओ तेरी दुनिया कैसी तू जाने
तुझे भूल के माटी की पुतली पर
कोई मन की खिड़की खोल रहा
जिसमें तेरा नाम तुले जग उसमें
सोना-चाँदी तोल रहा
अपना क्या है हम तो अनजाने
ओ तेरी दुनिया कैसी तू जाने
जीवन पथ पे निकले दो पल को हम
अपने जी को बहलाने
ओ तेरी दुनिया …
तूने जब दुनिया ये बनाई
धरती की चादर फैलाई
चन्दा-सूरज की जोत जलाई
पर जिसके लिए जग तूने रचा
वो करके इसे वीरान रहा
धरती की चादर छीन चुका
अब चाँद और सूरज माँग रहा
ये तेरे बन्दों के अफ़साने
ओ तेरी दुनिया …
उल्टी गंगा बहे
जोगी चुप कैसे रहे
अब देवता कुछ भी नहीं
मानवता कुछ भी नहीं
यार से यारी गई वो दिलदारी गई
ऐसी छाया तले हम दीवाने भले
कैसा प्यार कहाँ की दोस्ती कैसा रिश्ता-नाता
तेरे होते इन्सान तेरा शैतान हुआ ओ दाता
पर ये क्या कह रहे हम दीवाने
ओ तेरी दुनिया …
जब दिल में पराया दर्द उठे
दूजे के तू काम आए यारा
तब ज्ञान मिला जीवन तुझको
चाँदी-सोने से भी प्यारा
वरना धन तो चीज़ ही क्या है
कहे मियाँ नज़ीरा का इकतारा
सब ठाठ पड़ा रह जाएगा
जब लाद चलेगा बंजारा
काम आएँगे यही प्यार के नज़राने
ओ तेरी दुनिया …
tujhe bhūl ke māṭī kī putlī par
koī man kī khiṛkī khol rahā
jismeṅ terā nām tule jag usmeṅ
sonā-chāṇdī tol rahā
apnā kyā hai ham to anjāne
o terī duniyā kaisī tū jāne
jīvan path pe nikle do pal ko ham
apne jī ko bahlāne
o terī duniyā …
tūne jab duniyā ye banāī
dhartī kī chādar phailāī
chandā-sūraj kī jot jalāī
par jiske lie jag tūne rachā
vo karke ise vīrān rahā
dhartī kī chādar chhīn chukā
ab chāṇd aur sūraj māṇg rahā
ye tere bandoṅ ke afsāne
o terī duniyā …
ulṭī gaṅgā bahe
jogī chup kaise rahe
ab devtā kuchh bhī nahīṅ
mānavtā kuchh bhī nahīṅ
yār se yārī gaī vo dildārī gaī
aisī chhāyā tale ham dīvāne bhale
kaisā pyār kahāṇ kī dostī kaisā riśhtā-nātā
tere hote insān terā śhaitān huā o dātā
par ye kyā kah rahe ham dīvāne
o terī duniyā …
jab dil meṅ parāyā dard uṭhe
dūje ke tū kām āe yārā
tab jñān milā jīvan tujhko
chāṇdī-sone se bhī pyārā
varnā dhan to chīz hī kyā hai
kahe miyāṇ nazīrā kā iktārā
sab ṭhāṭh paṛā rah jāegā
jab lād chalegā baṅjārā
kām āeṇge yahī pyār ke nazrāne
o terī duniyā …