mere himālay ke pāsbāno
mere gulistāṇ ke bāġhbāno
uṭhoṅ ki sadiyoṅ kī nīṅd taj kar
tumheṅ vatan phir pukārtā hai -2
mere himālay ke pāsbāno
mere gulistāṇ ke bāġhbāno
( havāoṅ ke dil dahal rahe haiṅ
gulāb nehrū ke jal rahe haiṅ ) -2
zamīṅ to kyā hai -2
falaq ke āṇsū nikal rahe haiṅ
qasam tumheṅ māṇ ke dūdh kī hai
qasam śhahīdoṅ ke dūdh kī hai
zamīṅ se uskā niśhāṇ miṭā do
jo bāġh apnā ujāṛtā hai
mere himālay ke pāsbāno
mere gulistāṇ ke bāġhbāno
( ham apne khūṇ meṅ nahā chuke haiṅ
safīnā apnā ḍubā chuke haiṅ ) -2
khilo-phalo tum ai ahal-e-maṅzil
ham apnī maṅzil pe ā chuke haiṅ
hai ākhirī ye salām apnā
hai ākhirī ye payām apnā
jo jāgtā hai nahīṅ samay par
vo jītī bāzī ko hārtā hai
mere himālay ke pāsbāno
mere gulistāṇ ke bāġhbāno