Toot gaee hai maalaa motee bikhar chale

तूट गई है माला मोती बिखर चले
Year
Language

टूट गई है माला
टूट गई है माला मोती बिखर चले
दो दिन रह कर साथ जाने किधर चले
टूट गई है माला

मिलन की दुनिया छोड़ चले ये आज बिरह में सपने -2
खोये-खोये नैनों में हैं उजड़े-उजड़े सपने
उजड़े-उजड़े सपने
व्याध की गठरी लिये झुकाये नज़र चले
दो दिन रह कर साथ जाने किधर चले
टूट गई है माला

अब तो ये जग में जियेंगे आँसू पीते-पीते -2
जैसी इनपे बीती वैसी और किसी पे न बीते
और किसी पे न बीते
कोई मत पूछो इन्हें के ये किस डगर चले
दो दिन रह कर साथ जाने किधर चले
टूट गई है माला
मोती बिखर चले
दो दिन रह कर साथ जाने किधर चले

ṭūṭ gaī hai mālā
ṭūṭ gaī hai mālā motī bikhar chale
do din rah kar sāth jāne kidhar chale
ṭūṭ gaī hai mālā

milan kī duniyā chhoṛ chale ye āj birah meṅ sapne -2
khoye-khoye nainoṅ meṅ haiṅ ujaṛe-ujaṛe sapne
ujaṛe-ujaṛe sapne
vyādh kī gaṭhrī liye jhukāye nazar chale
do din rah kar sāth jāne kidhar chale
ṭūṭ gaī hai mālā

ab to ye jag meṅ jiyeṅge āṇsū pīte-pīte -2
jaisī inpe bītī vaisī aur kisī pe na bīte
aur kisī pe na bīte
koī mat pūchho inheṅ ke ye kis ḍagar chale
do din rah kar sāth jāne kidhar chale
ṭūṭ gaī hai mālā
motī bikhar chale
do din rah kar sāth jāne kidhar chale