Toone pyaar kee been bajaaee ... main dauree chalee aaee

तूने प्यार की बीन बजाई ... मैं दौड़ी चली आई
Year
Language

तूने प्यार की बीन बजाई
मैं दौड़ी चली आई मैं भागी चली आई
तूने दिल से जो मुझको बुलाया
मैं दौड़ा चला आया मैं भागा चला आया

सारा सारा दिन तेरी याद सताये रात को नींद न आये
बावरी हो गई प्रीत में तेरे दिल कहीं चैन न पाये
तूने ऐसी लगन लगाई
मैं दौड़ी चली …

आजा तुझे बीन मैं अपनी बना लूं अपने लबों से लगा लूं
मैं तुझे देखूं तू मुझे देखे आँखों में ऐसे बसा लूं
तूने अपना मुझको बनाया
मैं दौड़ा चला …

तेरा मेरा प्यार है सदियों पुराना जाने ना जाने ज़माना
वादा किया था साथ रहेंगे वादा भूल ना जाना
तेरे प्यार में दुनिया भुलाई
मैं दौड़ी चली …

tūne pyār kī bīn bajāī
maiṅ dauṛī chalī āī maiṅ bhāgī chalī āī
tūne dil se jo mujhko bulāyā
maiṅ dauṛā chalā āyā maiṅ bhāgā chalā āyā

sārā sārā din terī yād satāye rāt ko nīṅd na āye
bāvrī ho gaī prīt meṅ tere dil kahīṅ chain na pāye
tūne aisī lagan lagāī
maiṅ dauṛī chalī …

ājā tujhe bīn maiṅ apnī banā lūṅ apne laboṅ se lagā lūṅ
maiṅ tujhe dekhūṅ tū mujhe dekhe āṇkhoṅ meṅ aise basā lūṅ
tūne apnā mujhko banāyā
maiṅ dauṛā chalā …

terā merā pyār hai sadiyoṅ purānā jāne nā jāne zamānā
vādā kiyā thā sāth raheṅge vādā bhūl nā jānā
tere pyār meṅ duniyā bhulāī
maiṅ dauṛī chalī …