nirbal se laṛāī balvān kī -2
yah kahānī hai dīye kī aur tūfān kī -2
ik rāt aṅdhiyārī, thīṅ diśhāeṅ kārī-kārī
maṅd-maṅd pavan thā chal rahā
aṅdhiyāre ko miṭāne, jag meṅ jyot jagāne
ek chhoṭā-sā dīyā thā kahīṅ jal rahā
apnī dhun meṅ magan, uske tan meṅ agan
uskī lau meṅ lagan bhagvān kī
yah kahānī hai dīye kī aur tūfān kī
kahīṅ dūr thā tūfān…
kahīṅ dūr thā tūfān, dīye se thā balvān
sāre jag ko masalne machal rahā
jhāṛ hoṅ yā pahāṛ, de vo pal meṅ ukhāṛ
soch-soch ke zamīṅ pe thā uchhal rahā
ek nanhā-sā dīyā, usne hamlā kiyā -2
ab dekho līlā vidhi ke vidhān kī
yah kahānī hai dīye kī aur tūfān kī
duniyā ne sāth chhoṛā, mamtā ne mukh moṛā
ab dīye pe yah dukh paṛne lagā -2
par himmat na hār, man meṅ marnā vichār
atyāchār kī havā se laṛne lagā
sar uṭhānā yā jhukānā, yā bhalāī meṅ mar jānā
ghaṛī āī uske bhī imtehān kī
yah kahānī hai dīye kī aur tūfān kī
phir aisī ghaṛī āī - 2, ghanghor ghaṭā chhāī
ab dīye kā bhī dil lagā kāṇpne
baṛe zor se tūfān, āyā bhartā uṛān
us chhoṭe se dīye kā bal māpne
tab dīyā dukhiyārā, vah bichārā beshārā
chalā dāv pe lagāne, (bāzī prāṇ kī) - 4
chalā dāv pe lagāne, bāzī prāṇ kī
yah kahānī hai dīye kī aur tūfān kī
laṛte-laṛte vo thakā, phir bhī bujh na sakā -2
uskī jyot meṅ thā bal re sachchāī kā
chāhe thā vo kamazor, par ṭūṭī nahīṅ ḍor
usne bīṛā thā uṭhāyā re bhalāī kā
huā nahīṅ vo nirāśh, chalī jab tak sāṇs
use ās thī prbhu ke vardān kī
yah kahānī hai dīye kī aur tūfān kī
sar paṭak-paṭak, pag jhaṭak-jhaṭak
na haṭā pāyā dīye ko apnī ān se
bār-bār vār kar, aṅt meṅ hār kar
tūfān bhāgā re maidān se
atyāchār se ubhar, jalī jyot amar
rahī amar niśhānī balidān kī
yah kahānī hai dīye kī aur tūfān kī
nirbal se laṛāī balvān kī
yah kahānī hai dīye kī aur tūfān kī