Too meraa chaand main teree chaandnee

तू मेरा चाँद मैं तेरी चाँदनी
Work
Year
Language

तू मेरा चाँद मैं तेरी चाँदनी
मैं तेरा राग तू मेरी रागिनी
ओ, नहीं दिल क लगाना कोई दिल्लगि, कोई दिल्लगि

साथ ही जीना साथ ही मरना
उल्फ़त की है रीत, हाँ, उल्फ़त की है रीत
प्यार की मुरली हरदम गाये तेरी लगन के गीत
मैं तेरा राग तू मेरी रागिनी
तू मेरा चाँद मैं तेरी चाँदनी
ओ, नहीं दिल क लगाना …

भूल न जाना रुत ये सुहानी
ये दिन और ये रात, हाँ, ये दिन और ये रात
जब तक चमके चाँद सितारे, देखो छूटे न साथ
तू मेरा चाँद मैं तेरी चाँदनी
मैं तेरा राग तू मेरी रागिनी
ओ, नहीं दिल क लगाना …

tū merā chāṇd maiṅ terī chāṇdnī
maiṅ terā rāg tū merī rāginī
o, nahīṅ dil ka lagānā koī dillgi, koī dillgi

sāth hī jīnā sāth hī marnā
ulfat kī hai rīt, hāṇ, ulfat kī hai rīt
pyār kī murlī hardam gāye terī lagan ke gīt
maiṅ terā rāg tū merī rāginī
tū merā chāṇd maiṅ terī chāṇdnī
o, nahīṅ dil ka lagānā …

bhūl na jānā rut ye suhānī
ye din aur ye rāt, hāṇ, ye din aur ye rāt
jab tak chamke chāṇd sitāre, dekho chhūṭe na sāth
tū merā chāṇd maiṅ terī chāṇdnī
maiṅ terā rāg tū merī rāginī
o, nahīṅ dil ka lagānā …