तू लाख चले री गोरी थम थम के
तू लाख चले री गोरी थम-थम के
पायल में गीत हैं छम-छम के
तू पिया से मिल कर आई है
बस आज से नींद पराई है
देखेगी सपने साजन के
तू लाखे चले …
ये जीवन भर का रोग सखी
तुझे पगली कहेंगे लोग सखी
याद आयेंगे वादे बालम के
तू लाख चले …
मैं ने भी किया था प्यार कभी
आई थी यही आवाज़ कभी
अब गीत मैं गाती हूँ ग़म के
तू लाख चले …
tū lākh chale rī gorī tham-tham ke
pāyal meṅ gīt haiṅ chham-chham ke
tū piyā se mil kar āī hai
bas āj se nīṅd parāī hai
dekhegī sapne sājan ke
tū lākhe chale …
ye jīvan bhar kā rog sakhī
tujhe paglī kaheṅge log sakhī
yād āyeṅge vāde bālam ke
tū lākh chale …
maiṅ ne bhī kiyā thā pyār kabhī
āī thī yahī āvāz kabhī
ab gīt maiṅ gātī hūṇ ġham ke
tū lākh chale …