Too k‌yaa pyaar karegaa pyaar maine kiyaa

तू क्‌या प्यार करेगा प्यार मैने किया
Work
Year
Language

जा बेकदरा ओ बेदर्दी ओय बेखबरा
तू क्‌या प्यार करेगा प्यार मैने किया
आग के इस दरिया को पार मैने किया

प्रीत नहीं कल परसों की
प्यास है अठरा बरसों की
आज गिला ये पहली बार मैने किया
आग के इस दरिया को …

इक रोज़ तेरा दिल डोलेगा
दो बोल तू मीठे बोलेगा
तेरा कितना इंतज़ार मैने किया
आग के इस दरिया को …

होंठों पे तेरे चुप के ताले
हाथों पे मेरे दर्द के छाले
प्यार में गुस्सा पहली बार मैने किया
तू क्‌या प्यार करेगा …

तू कुछ भी कहले कहने को
इस दिल में तेरे रहने को
छोटा सा इक घर तैयार मैने किया
आग के इस दरिया को …

jā bekadrā o bedardī oy bekhabrā
tū k‌yā pyār karegā pyār maine kiyā
āg ke is dariyā ko pār maine kiyā

prīt nahīṅ kal parsoṅ kī
pyās hai aṭhrā barsoṅ kī
āj gilā ye pahlī bār maine kiyā
āg ke is dariyā ko …

ik roz terā dil ḍolegā
do bol tū mīṭhe bolegā
terā kitnā iṅtazār maine kiyā
āg ke is dariyā ko …

hoṅṭhoṅ pe tere chup ke tāle
hāthoṅ pe mere dard ke chhāle
pyār meṅ gussā pahlī bār maine kiyā
tū k‌yā pyār karegā …

tū kuchh bhī kahle kahne ko
is dil meṅ tere rahne ko
chhoṭā sā ik ghar taiyār maine kiyā
āg ke is dariyā ko …