Too jo naheen koee meraa meraa koee naheen

तू जो नहीं कोई मेरा मेरा कोई नहीं
Work
Year
Language

तू जो नहीं कोई मेरा मेरा कोई नहीं
ज़िन्दगी तेरी यादों में खोई
फिर भी खोई नहीं

तेरी चाहत न जब तक मिलेगी रूह मेरी भटकती रहेगी
हाल मेरा अगर वो सुनेंगे मुझपे दीवाने भी रो पड़ेंगे
हाल सुनके मेरा फिर भी तेरी आँख रोई नहीं
तू जो नहीं कोई …

फिर से देखा तुझे हमने जिस दम मर चले थे मगर जी उठे हम
बेरुख़ी से हमें तूने मारा तू है कैसा मसीहा हमारा
जब लगानी न थी पार नैया क्‌यों डुबोई नहीं
तू जो नहीं कोई …

tū jo nahīṅ koī merā merā koī nahīṅ
zindgī terī yādoṅ meṅ khoī
phir bhī khoī nahīṅ

terī chāhat na jab tak milegī rūh merī bhaṭaktī rahegī
hāl merā agar vo suneṅge mujhpe dīvāne bhī ro paṛeṅge
hāl sunke merā phir bhī terī āṇkh roī nahīṅ
tū jo nahīṅ koī …

phir se dekhā tujhe hamne jis dam mar chale the magar jī uṭhe ham
berukhī se hameṅ tūne mārā tū hai kaisā masīhā hamārā
jab lagānī na thī pār naiyā k‌yoṅ ḍuboī nahīṅ
tū jo nahīṅ koī …