Too hai ki naheen hai mujhe bhagvaan bataa de

तू है कि नहीं है मुझे भगवान बता दे
Work
Year
Language

तू है कि नहीं है मुझे भगवान बता दे
रोता है तेरे दर पे एक इन्सान बता दे
तू है कि नहीं है …

धरती पर ये कहता है कोई दर्द का मारा
आहों से हिला दूँगा आकाश ये सारा
कब तक है मुसीबत का यह तूफ़ान बता दे
भगवान बता दे …

जो दिल पे गुज़रती है तुझे कैसे बताऊँ
सोए हो भगवान तुझे कैसे जगाऊँ
क्‌या जान के तू बना है अनजान बता दे
भगवान बता दे …

सौ दर्द सहे मैने तेरी राह में चल के
शमशान हुई जाती है दुनिया मेरी जल के
क्‌या दिल से मिटा दूँ तेरा ध्यान बता दे
भगवान बता दे …

tū hai ki nahīṅ hai mujhe bhagvān batā de
rotā hai tere dar pe ek insān batā de
tū hai ki nahīṅ hai …

dhartī par ye kahtā hai koī dard kā mārā
āhoṅ se hilā dūṇgā ākāśh ye sārā
kab tak hai musībat kā yah tūfān batā de
bhagvān batā de …

jo dil pe guzartī hai tujhe kaise batāūṇ
soe ho bhagvān tujhe kaise jagāūṇ
k‌yā jān ke tū banā hai anjān batā de
bhagvān batā de …

sau dard sahe maine terī rāh meṅ chal ke
śhamśhān huī jātī hai duniyā merī jal ke
k‌yā dil se miṭā dūṇ terā dhyān batā de
bhagvān batā de …