Too aap hai apnaa chor kaahe rapat kare

तू आप है अपना चोर काहे रपट करे
Work
Year
Language

तू आप है अपना चोर काहे रपट करे कोतवाली -2

मुखड़ा तेरा साहू जैसा मनवा तेरा लुटेरा -2
दया धरम की गली कभी ना डाला तूने फेरा
( वही बगीचा लूटा रे तूने ) -2 था तू जिसका माली
काहे रपट करे …

पेड़ लगाया पाप का माँगे बदले में नारंगी -2
लाख छिपाए रेशम से काया तेरी नंगी
( भरी रहेगी तेरी तिजोरी ) -2 हाथ रहेंगे खाली
काहे रपट करे …

तू समझे तू बड़ा सयाना मैं समझूँ दीवाना -2
सच्चे थानेदार को अब तक ना पहचाना
जिस पर बैठा मूरख काट रहा वही डाली
काहे रपट करे …

tū āp hai apnā chor kāhe rapaṭ kare kotvālī -2

mukhaṛā terā sāhū jaisā manvā terā luṭerā -2
dayā dharam kī galī kabhī nā ḍālā tūne pherā
( vahī bagīchā lūṭā re tūne ) -2 thā tū jiskā mālī
kāhe rapaṭ kare …

peṛ lagāyā pāp kā māṇge badle meṅ nāraṅgī -2
lākh chhipāe reśham se kāyā terī naṅgī
( bharī rahegī terī tijorī ) -2 hāth raheṅge khālī
kāhe rapaṭ kare …

tū samjhe tū baṛā sayānā maiṅ samjhūṇ dīvānā -2
sachche thānedār ko ab tak nā pahchānā
jis par baiṭhā mūrakh kāṭ rahā vahī ḍālī
kāhe rapaṭ kare …