तिरंगा उसके गुण गाए ... तेरी हिफ़ाज़त ... करती है वर्दी
तिरंगा उसके गुण गाए गंगा यही गीत सुनाए -2
तेरी हिफ़ाज़त मेरी हिफ़ाज़त करती है वर्दी -2
रहे सलामत सबकी खिदमत करती है वर्दी
तेरी हिफ़ाज़त मेरी हिफ़ाज़त …
आ आ
( हे राम -2 हे राम राम राम ) -2
बापू गांधी का देश है ये
इस देश में सबका भेष है ये
सारी दुनिया में अमन रहे इस वर्दी का संदेश है ये -2
जंग छिड़े बस फिर तो क़यामत करती है वर्दी -2
तेरी हिफ़ाज़त मेरी हिफ़ाज़त …
( वर्दी को किसी से बैर नहीं
कोई अपना नहीं कोई ग़ैर नहीं ) -2
कोई इस पर दाग़ लगाए तो बस समझो उसकी ख़ैर नहीं
मत पूछो क्या उसकी हालत करती है वर्दी -2
रहे सलामत सबकी खिदमत …
ये फ़र्ज़ निभाना पड़ता है
ये कर्ज़ चुकाना पड़ता है
अपने हाथों से अपनों को हथकड़ी लगाना पड़ता है -2
बदनामी के नाम से नफ़रत करती है वर्दी -2
रहे सलामत सबकी खिदमत …
जिसने वर्दी को पहन लिया
ये क़सम उठाई अहद किया
( ऐ मेरे वतन तेरी खातिर
मैने दुनिया को छोड़ दिया ) -2
अपने वतन से कितनी मोहब्बत करती है वर्दी
tiraṅgā uske guṇ gāe gaṅgā yahī gīt sunāe -2
terī hifāzat merī hifāzat kartī hai vardī -2
rahe salāmat sabkī khidamat kartī hai vardī
terī hifāzat merī hifāzat …
ā ā
( he rām -2 he rām rām rām ) -2
bāpū gāṅdhī kā deśh hai ye
is deśh meṅ sabkā bheṣh hai ye
sārī duniyā meṅ aman rahe is vardī kā saṅdeśh hai ye -2
jaṅg chhiṛe bas phir to qayāmat kartī hai vardī -2
terī hifāzat merī hifāzat …
( vardī ko kisī se bair nahīṅ
koī apnā nahīṅ koī ġhair nahīṅ ) -2
koī is par dāġh lagāe to bas samjho uskī khair nahīṅ
mat pūchho kyā uskī hālat kartī hai vardī -2
rahe salāmat sabkī khidamat …
ye farz nibhānā paṛtā hai
ye karz chukānā paṛtā hai
apne hāthoṅ se apnoṅ ko hathkaṛī lagānā paṛtā hai -2
badnāmī ke nām se nafrat kartī hai vardī -2
rahe salāmat sabkī khidamat …
jisne vardī ko pahan liyā
ye qasam uṭhāī ahad kiyā
( ai mere vatan terī khātir
maine duniyā ko chhoṛ diyā ) -2
apne vatan se kitnī mohabbat kartī hai vardī