थुमक-ठुमक मत चलो किसी का दिल तड़पेगा
ठुमक-ठुमक मत चलो किसी का दिल तड़पेगा
मन्द-मन्द मत हँसो कोई राही भटकेगा
ठुमक-ठुमक मत …
काजल से कट जाये कलेजा आँखें हीरे की कनी
राहों में हो जाये उजाला चेहरे पर वो चाँदनी
गेसू खुले मत रखो किसी का दिल उलझेगा
ठुमक-ठुमक मत …
दिल में उतर ना जाएँ किसी के शोख़ निगाहें रोक लो
आह निकल ना जाए किसी की अपनी अदाएँ रोक लो
बन के घटा मत उठो कोई प्यासा तरसेगा
ठुमक-ठुमक मत …
ṭhumak-ṭhumak mat chalo kisī kā dil taṛpegā
mand-mand mat hṇso koī rāhī bhaṭkegā
ṭhumak-ṭhumak mat …
kājal se kaṭ jāye kalejā āṇkheṅ hīre kī kanī
rāhoṅ meṅ ho jāye ujālā chehre par vo chāṇdnī
gesū khule mat rakho kisī kā dil uljhegā
ṭhumak-ṭhumak mat …
dil meṅ utar nā jāeṇ kisī ke śhokh nigāheṅ rok lo
āh nikal nā jāe kisī kī apnī adāeṇ rok lo
ban ke ghaṭā mat uṭho koī pyāsā tarsegā
ṭhumak-ṭhumak mat …