थोड़ी सी बेकरारी थोड़ा सा है करार्
थोड़ी सी बेकरारी थोड़ा सा है करार
कोई इसे कुछ भी कहे हम तो कहें प्यार
होता है होता है ये सबको एक बार
कोई इसे कुछ भी …
बस तेरी याद सताती है रातों को नींद चुराती है
तेरी मोहब्बत जान-ए-जां दिल को मेरे तड़पाती है
कैसा ये दर्द है जानम कोई यहां इसे जाने ना
कभी तो मुलाकातें कभी है इंतज़ार
कोई इसे कुछ भी …
आँखें तो जागी जागी हैं हम दोनों सोए सोए हैं
अपने हसीन खयालों में दीवाने खोए खोए हैं
अपना तो हाल है ऐसा माने कोई या माने ना
मस्ती भी है ज़रा सी ज़रा सा है खुमार
कोई इसे कुछ भी …
thoṛī sī bekrārī thoṛā sā hai karār
koī ise kuchh bhī kahe ham to kaheṅ pyār
hotā hai hotā hai ye sabko ek bār
koī ise kuchh bhī …
bas terī yād satātī hai rātoṅ ko nīṅd churātī hai
terī mohabbat jān-e-jāṅ dil ko mere taṛpātī hai
kaisā ye dard hai jānam koī yahāṅ ise jāne nā
kabhī to mulākāteṅ kabhī hai iṅtazār
koī ise kuchh bhī …
āṇkheṅ to jāgī jāgī haiṅ ham donoṅ soe soe haiṅ
apne hasīn khayāloṅ meṅ dīvāne khoe khoe haiṅ
apnā to hāl hai aisā māne koī yā māne nā
mastī bhī hai zarā sī zarā sā hai khumār
koī ise kuchh bhī …