Talat version:
śhahar kī rāt aur maiṅ nāśhād-o-nākārā firūṇ
jagamgātī jāgtī, saṛkoṅ pe āvārā firūṇ
ai ġham-e-dil kyā karūṇ
ai vahśhat-e-dil kyā karūṇ
kyā karūṇ, kyā karūṇ
ai ġham-e-dil kyā karūṇ
ye rūpahlī chhāṇv ye ākāśh par tāroṅ kā jāl
jaise sūfī kā tasavvur, jaise āśhiq kā khayāl
āh lekin kaun samjhe, kaun jāne dil kā hāl
ai ġham-e-dil kyā karūṇ …
rāste meṅ ruk ke dam lūṇ, ye merī ādat nahīṅ
lauṭ kar vāpas chalā jāūṇ merī fitarat nahīṅ
aur koī hamanvā mil jāe ye qismat nahīṅ
ai ġham-e-dil kyā karūṇ …
Asha version:
ai ġham-e-dil kyā karūṇ
ai vahśhat-e-dil kyā karūṇ
kyā karūṇ, kyā karūṇ
ai ġham-e-dil kyā karūṇ
mujhko qismat ne banāyā, gaṅdle pānī kā kaṅval
khāk meṅ mil mil gae sab, ārazū ke ye mahal
kyā khabar thī yūṇ merī taqdīr jāegī badal
ai ġham-e-dil …
rūṭhne vāle kisī, majbūr se rūṭhegā kyā
jis tarah qismat ne lūṭā, yūṇ koī lūṭegā kyā
ye mere ṭūṭe hue dil, aur tū ṭūṭegā kyā
ai ġham-e-dil …