sāre jag kī tū mātā
ambe jagadambe mātā, sāre jag kī tū mātā
jo bhī tere dar pe ātā, māṅgī murādeṅ pātā
mātā tere darśhan ko naṅge pāṇv nit āūṇ
nāriyal pān supārī mevā, tujhe bhog lagāūṇ
mehroṅ vālī māṇ, sāre jag pe mehar karo
śharaṇ meṅ jo āye tihārī uske pāp haro
bābā ne apnī beṭī ko hai ṭhukrāyā
ek māṇ hai tū maiyā sīne se jise lagāyā
ūṇche pahādoṅ vāliye ūṇchī hai terī śhān
jag ko var detī hai terī śhakti mahān
maiṅ hūṇ prāṇī insāṅ maiyā, maiṅ hūṇ bhūlanhār
ho gaī hai bhūl mujhse, bakśha do bakśhanhār
jyotoṅ vālī māṇ, mere man kī jyot jagā
varṣhoṅ se maiṅ pyāsā merī pyās bujhā