तेरी सूरत से नहीं मिलती किसी की सूरत्
तेरी सूरत से नहीं मिलती किसी की सूरत
हम जहाँ में तेरी तस्वीर लिए फिरते हैं
तेरी सूरत से …
ख़ूब चेहरा है तेरा दोनों जहाँ हैं पागल
सामने तेरे है फीका वो हसीं ताज महल
तेरी ज़ुल्फ़ों ने सनम दिल मेरा बाँध लिया
तूने ऐ जान-ए-सितम प्यार का जाम दिया
ज़ुल्फ़ की हम जवाँ ज़ंजीर लिए फिरते हैं
तेरी सूरत से …
ये तो दुनिया है यहाँ एक नहीं लाख हसीं
जो अदा देखी है तुझ में वो किसी में भी नहीं
सामना तेरा जब होगा तो क़यामत भी होगी
आँख जब तुझसे मिलेगी तो मोहब्बत भी होगी
प्यार की हम अजब ताबीर लिए फिरते हैं
तेरी सूरत से …
चाँदनी रात भी ज़ालिम तेरी परछाईं है
और सूरज ने तेरे गालों से चमक पाई है
गर तुझे देख ले कश्मीर तो शरमा जाए
और फ़रिश्ता जो अगर देख ले ललचा जाए
हम नए रंग की इक हीर लिए फिरते हैं
तेरी सूरत से …
terī sūrat se nahīṅ miltī kisī kī sūrat
ham jahāṇ meṅ terī tasvīr lie phirte haiṅ
terī sūrat se …
khūb chehrā hai terā donoṅ jahāṇ haiṅ pāgal
sāmne tere hai phīkā vo hasīṅ tāj mahal
terī zulfoṅ ne sanam dil merā bāṇdh liyā
tūne ai jān-e-sitam pyār kā jām diyā
zulf kī ham javāṇ zaṅjīr lie phirte haiṅ
terī sūrat se …
ye to duniyā hai yahāṇ ek nahīṅ lākh hasīṅ
jo adā dekhī hai tujh meṅ vo kisī meṅ bhī nahīṅ
sāmnā terā jab hogā to qayāmat bhī hogī
āṇkh jab tujhse milegī to mohabbat bhī hogī
pyār kī ham ajab tābīr lie phirte haiṅ
terī sūrat se …
chāṇdnī rāt bhī zālim terī parchhāīṅ hai
aur sūraj ne tere gāloṅ se chamak pāī hai
gar tujhe dekh le kaśhmīr to śharmā jāe
aur fariśhtā jo agar dekh le lalchā jāe
ham nae raṅg kī ik hīr lie phirte haiṅ
terī sūrat se …